جمعہ، 14 فروری، 2014

Zikar wa fiqar amooman sath attay lekin fiqar intaha hy zikar ki. Ab zikar 2 terha ky hutay,aik mukhafi zikaar aur aik zahiri .zahiri zikar mien mehboob ka hussan, yaad, tajaliyat aur iztrab ki keyfiat ka zikar ziyada huta jubkay zikar e khafi mehboob e haqeeqi aur hub kay dermian aik raaz hutta hay. Yea raaz aksar OLIYA KARAM(RH) apnay sath lay gaiy, aur roohani irkae halat kay taghiuraat kay onch neech mien jab waqat ka atom blast huta tu tab aik nae shaksiyat pedaish ky anmol merhaly say guzar ker soch k ibalooghat mien puhanch ker  aik roshni ka mamba banti.
Yea zikar  ekhafi ka who anmol moti jo sahib e nazar apnay sath lay gaiyhuty hian is nae zaat e muhtram ko saounp dia jata hay aur yea silsila sadion der sadion essa hi chalta hay, jab taak kea koi sher rooh wala mard e momin ,mard e haq nahi peda hutta, tabb baray jah wa jalal ky baad iss “ism e azam” ko jo zikar e khafi ki soorat mien huta atta kia jaata hy aur tab aflaq ,waqat ,makan wa zaman saakit hu jatay hian aur saaz e ishq say aik niya naghma Alana shuru hutta hay jo kainnat kay aik sirray say doosray sirry taak phail jata hay .
Yea zaat  e pa kiss amanat ko sambhal ker rakhny ka khuwatgar rehta h ykiunkay yea who ammant huti hy jo paharon per dalni chahi tu uss nay “arhamna’ “arhamna” kia, jab sammunder ko dena chaha tu who bilbila utha keah mien sakkat nahi rakhta gherz yea qurra “inssan” kay naam nikla. Insan fitri tur per ishq kay mem ka musafir thera hay,oski zaat kay gardab mien asool e ishq bhara hua hay tabhi oss nay iss bar(weight) ko bakhoshi uthany ka azam bhar lia aur rabba ji nay who taj e sultani inssan kay ser per dasttar ker dee.


Dastar kuch aur nahi sirf yeahi “ghum” tha jo ashiq ko mehboob kay judai aur wasal ky haseen imtizaj say muqarab hutta hay. Ghum ko satahi tor per kisi ny hussan e zahiri say mansoob kia tu kisi nay issay aflaq ki khoobsorat bansuri say tashbeeh dee, per asal MARD E HAQ kay pass yea ghum faqat makhlooq kay lia raha hay……….tabhi ajj say lag bhag 1400 saal pehlay yea ghum , GHUM E UMMAT ban ker HAZOOR  EPAK(SAWAW) ki zaat e aqdas per zahoor hua, aur Quran jesay mujaza say osko muziyan kia. Ab khud dekh lo app sab keah intahia ishq haqeeqi meraj kis soorat mian zahoor pazeer hui…yani Hazoor e Pak(SAWAW) ki ZI UL QADAR HASTI E MUTEHAR aur pher GHUM E UMMAT(SAWAW)ka rishta e bepanah. Wah kia yea naseeb ki barishain nahi kea hum sab ossi UMAT E MUTEHAR (SAWAW) ka adna hissa hain jiski abbyari kay lia SARKAR E PAK(SAWAW) KI QURATUL AIEN(SAWAW) PAK jesi ankhain pur naam raheen, ALLAH U AKBAR(SWT)PAK KHER , hum job hi hian jesay bhi hian ,humary apni zaat mian bass yeahi aik lagan huni chahiya keah hum kuch bhi nah hon perwah nah imager jhooti mooti hi sahi hum aik banawat hi sahi aik actor ki terha hi sahi aik “ASHIQ E NAAMDAR E HARAM(SAWAW) ban jain tu kisi bhi lamhy aik zara ci sachi ishq ki chingari bharaq ker allaow ban jaiy aur humko bhi oss tasbeeh ka hissa banna naseeb hu jaiy jo “ZIKAR E KHAFI” kay mussafiron ka raha hay….(to be contd: )


کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں