ہفتہ، 15 فروری، 2014

امت نبوئی(صلی علیہ وآلہ وسلم)

Jab Tak Tumhara Itraana Aur Ghussa Karna …..
» Qaul-e-Mubarak : Jab Tak Tumhara Itrana Aur Ghussa Karna Baki Hai,
Apne Aap Ko Ahal-e-Ilm Me Shumar Na Karo.
- Hazrat Abd-Ul-Qadir Jeelani(Rehmatullah Alayh)

Gunaahon Se Nadeem Ho Kar Rona …
Gunaahon Se Nadeem Ho Kar Rona …
Hazrat Fatima (Radhi Allahu Ta’ala Anha) Ne Farmaya Ke,
“Mujhe Duniya Mein 3 Cheezen Pasand Hain”.
»1). Jis Qadar Moomkin Ho Ibadat Karna.
»2). Gunaahon Se Nadeem Ho Kar Rona.
»3). Fiqr-O-Faqaa Me Sabr Karna.
-: (Book:Tazkira-Ul-Waezin)

Dua Ka Tareeqa ….
Dua Ka Tareeqa ….
» Qaul-e-Mubarak : Dua Ka Tareeqa Yeh Hai Ke Pehle Khuda Ki Humd-O-Tareef Karo Phir Gunaahon Ka Iqrar Karo Aur Phir Apni Hajat Talab Karo.
- Imaam Jaffer-E-Sadiq (Razi Allaho Anho)

Fatah Ilm Aur Khuda Ke Aitmaad Hoti Hai …..
Fatah Ilm Aur Khuda Ke Aitmaad Hoti Hai …..
» Fatah! Umeed Se Nahi Balki Ilm Aur Khuda Par Aitmaad Se Haasil Hoti Hai.
» Allah Ka Zikr Kia Karo Ke Iss Me “Shifa” Hai Aur Logo’n ke Aib Bayan Na Karo ke Is Me “Bimaari” Hai.
- Hazrat Umar (Radi Allahu Ta’ala Anhu)



کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں