زار کے صفحے

منگل، 18 فروری، 2014

Zaat e wala begumaan



Jab se mujh ko aapki nisbat mili ya GHOUS E PAK,
zindagi phir bangayi hai yeh zindagi GHOUS E PAK.

Kis qadar anmol hai tohfa mujhe bughdaad ka,
bakht se main bhi hua hoon Qadri GHOUS E PAK....
See More




Zaat e wala begumaan ' ghousul wara peeran e peer,
aye nabi ke noor ' noor e murtaza peeran e peer.

Auliya ke dosh par jaise hai qadam hai aapka,
hum pe bhi rakhiye qadam lillah zara peeran e peer.

Ho karam ki ik nazar mujh par bhi aye mahbub e rab,
main bhi adna gada ' adna gada peeran e peer.

Khud shanasi haq shanash ka sabaq aye dastageer,
aap ki nisbat se hum ko mila peeran e peer.

Daakoun ko raah e haq batlaya bachpan mein huzoor,
yeh bhi hai adna karamat ki ada peeran e peer.

Aarzo hai ek din aaye ZIA bughdaad ko,
kijiye aasi ko parwana ata peeran e peer. Ameen










کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں